Disclaimer: Iss baar Newsletter thoda lamba hai. End tak padhna. Kuch nayi baatein jodkar laayi hun.
Maine notice kiya hai ki hum khud se kai baar ek si baatein kehte rehte hain… Koi pooche ya na pooche, hum automatic ki kuch baatein dohrate rehte hain. Jaise ki -
“Yaar main toh thak gayi…”
“Mujhse nahi hota ye sab…”
“Main pareshan ho gayi hun…”
“Meri tabiyat theek nahi lag rahi mujhe…”
Jaise meri aadat thi har thodi der mein bolne ki - “main sach mein ab thak gayi sab se…”
Iska aksar koi matlab nahi hota hai… bas hum bolne ke liye bol dete hain… takiyakalaam ki tarah ;)
Par ye baatein jitna casually hum bolte hain, inka asar utna hi gehra hota hain.
Hamare dimaag ko ye nahi pata ki hum jo soch rahe hain aur jo hamare saath wakai mein ghat raha hai, usmein difference kya hain. (scientific fact)
Iska matlab hai ki shabdon se jo energy hum create karte hain, wohi sab kuch hai.
Toh agar aap kehte ho ki aap thak gaye, toh aapko wakai thakaan mehsoos hogi.
Agar aap bolte ho ki “aaj mera man achha sa nahi ho raha hai”, toh aapko wakai kuch bhi achha nahi lagega.
Aur agar aap kehte ho ki, “aaj mujhe lag raha hai ki sab achha hi hoga”, toh phir chaahe jo bhi jaisa bhi ho raha hai, aap zaroor achha mehsoos kar rahe honge.
Hum apni aadatein bhi pathhar ki lakeer ki tarah bol-bolkar banaate hain:
“Mujhe gussa bahut jaldi aata hai”
“Main bahut jaldi irritate ho jaata hun”
“Mera mann hi nahi lagta office ke kaam mein”
“Mujhse subah jaldi nahi utha jaata”
“Mujhe akele rehna hi pasand hai”
Hamein lagta hai ki hum ‘matter of factly’ apna nature describe kar rahe hain. Par sach baat toh ye hai ki hum dohrakar apni aadaton ko aur bhi majboot karte ja rahe hain.
Hum jo mehsoos karna chahte hain, hum uske saboot ikathhe karte rehte hain. Iss hafte meri iss baat par gaur farma ke toh dekhiye. Phir batana ki aapko kya lagta hai :)
BkB Release of the week:
Diwali hum kuch Iss tarah manayenge
BkB Recommends:
Book: Social Chemistry by Marissa King
Aadhi kitaab padhte padhte aapko baatein thodi bhaari legengi, jaise confusion sa ho raha ho. Par aap wo stage jaise hi cross karoge, aapko individual socialising, power of listening and different behaviours of networking individuals par bahut hi interesting baatein padhne ko milegi.
Podcast: Advertising is Dead by Varun Duggirala
Agar aap communication industry se hain, aur advertising, branding aur marketing se aapka vaasta hai, toh ye podcast aapko bahut achha lagega. Varun ki khaasiyat ye hain ki wo khud The Glitch naam ki agency ke co-founder hain, aur apne podcast guests ke saath unki industry knowledge bhi bakhoobi nikal kar saamne aati hai.
BkB COMING SOON:
Men’s Day par kuch taiyyar kar rahi hun. Asha karti hun ki aap tak lekar aa paungi.
BkB Hulchul:
Nurture Roots ke saath bachhon mein hindi bhasha aur kitaabein padhne ki aadat ko lekar kuch baat-cheet.
AbhivyaktiDirectDilSe hui ek vishesh baat-cheet ki choti si jhalak.
बातों का मज़ा
बातों का मज़ा
जाने कहाँ चला गयारह गए हैं तो बस
मुट्ठी भर सवाल,
फीके हाल-चाल
बाल की खालखाल की मजाल
जीवन का जंजाल
बीता साल
अधूरी ताल
बदल रहे हैं बस
दिन यहाँ रातों में
जाने कहाँ चला गया मज़ा
आपस की बातों में ?
~ Anamika Joshi (Batto)
Rightly said…..and looking forward to so much more…..your newsletters make me happy 😊